10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye

Sabhi Newbie Bloggers ya Website Owners Yhi sochte hain. Hum kaise apna Adsense Account Jaldi Approve kara le. Jitna aasan ads account banana hai, usse kai jyada difficult ise approved karwana.
Apne blog se income karna sabka dream hota hai. But Blogging me new hone ke karan Blog me bahut kuchh kamiya rah jati hai. Aur isse humara Google Adsense Account Approve Nhi hota. Is wajah kafi dukhi hona padta hai. Kiya aapko pata hai “Adsense account ke Approve na hone ka Main Reason” blogging ki sahi Knowledge nahi hona hai.

10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye
Mostly Sucessfull bloggers ke liye Adsense Account ko Approve Karana chutkiyo ka kaam hai. Wo apne naye blog ko adsense se connect 10 din me hi karwa lete hai. Aisa isliye ki unhe adsense approval trick ki jankari hoti hai. Unhe pata hota hai. Ki Google adsense ke adse use karne ke liye website blog me kiya kiya implement jaruri hai.
Agar aapne As a blogger abhi-abhi blogging karna start kara hai. Yah post aapke bahut kaam ki ho sakti hai. Aap Niche diye huye nirdesho ka palan kare. Aur dekhe kaise apka Blog ya Website 100% Google Adsense se approve ho jayega. Bas aapko yaha diye gaye sabhi tips ka achhe se follow karne ki jarurat hai.

10 Din Me Google Adsense Approve Karane Ka Tarika :

Kisi bhi blog ka success hona tab mana jata hai. Jub us pe google search engine se high traffic milne lage. Adsense kisi bhi blog website ko approve karne se pahle sab check karta hai. Like – Traffic, Contant, Blog Degine aur Logo me uski popularty kitani hai.
Google adsense aapke post likhne ke tarike se samjh jata hai ki aap blogging me kitna Interest rakhte ho aur aap aage jakar Blogging me Success honge ya fail.

Kuchh log apne blog par article copy paste wale likhte hai. Ho sakta hai unko traffic bhi achha mil raha ho. But ye bahut hanikarak hota hai. Jinka adsense approved nahi huwaa unke liye to khas kar unko ye kahna chahunga. Agar aap aisa karte ho, Toh Copy-Paste article ko turant remove kar de. Kyuki adsense apke blog ko approve kabhi nahi karega.
Jin logo ne copy paste post blog ke adsense account se approved hone ke baad likha hai. Wo log bhi isse remove kar de. Warna agar kisi ne copyright complaint kar diya to apka blog google search se bahar hoga. Aur sath me invalid activity hone ke karan adsense account disabled ho jayega. Aaiye jaane ki 10 dino me Google Adsense Account Approved Kaise Karaye ?

10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye ?

Aap apne blog ke liye Adsense Account ko approve karane ja rahae hai. Toh yaha kuchh tips diye gaye hai. Inki help se Blog par Google Ads lagane ke liye aap easily 10 din me approve kara sakte ho.

Google Adsense Account Approve Karane Ki Tricks :-

Website Blog Ko SEO Freindly Banaye :
Apne Blog Ya Website Ko SEO Freindly banana bahut jaruri hota hai. Serach engine unhi Sites ko Importance deta hai. Jiska SEO sahi tarah se kiye gaya ho.
Traffic Incharge Kare :
Aapke blog par Traffic Achha hona chahiye. Minimum Blog pe 250+visits/day hone chahiye. Bina Organic Traffic apka Adsense Approve kabhi nahi hoga.
Responsive Blog Banaye :
Website ka Responsive hona jaruri hai. Responsive se matlab ki apki site sabhi device Desktop, Tablet, Mobile me asani se Open ho jani chahiye.
Custom Domain Name Use Kare :
Custom Domail matlab Apni pasand ka URL. Aapki site agar Custom Domain Pe hain toh Bahut Acha hain. ( Apni pasand ka Domain/URL blog pe lagane ki jankari )
Jaruri Page Banaye :
Kisi bhi blog sites me agar Google ke Ads lagane hai. Toh usme kuchh page ka hona bahut jaruri hota hai. Bina inke kabhi bhi Google Adsense account ko approved nahi karega. Yah aise pages hote hai. Jinki madad se Visiter or Google ko apke aur apki site ke bate me Information milti hai. Jarurat padne pe wo aapse Contact kar sakte hai.
  • Privacy Policy
  • Disclaimer Policy
  • Terms of Usage
  • Contact Us
  • About Us
Alexa Rank Badhaye :
Jitna aap blog pe active rahoge Aur Site ki Popularity badhegi. Alexa Rank Increase hoti jayegi. Blog Ki Alexa Rank hamesha 400k se kam hona chahiye. Isse apka adsense jaldi Approve hoga.
Custom E-mail ID Setup Kare :
Agar apke pass Sites name se Custom email id (some@domainname.com) hain. Toh isi se adsense ke liye apply kre isse apka prsence or acha hoga.
Sabhi Search Engine Se Site Ko Verify Karaye :
Aapko apne blog ko sabhi serach engine me submit kar ke verify karna chahiye. Isse apko do fayeda hoga. Ek toh apke blog par sabhi search se traffic aayega. Aur Adsense bahut jaldi approve hoga. Basically Google aur Bing Webmasters Verification Page verify hona chahiye.
Third Party Advertisement :
Agar aap vastav me Adsense approve karana chahte hai. Toh kisi bhi third party advertisement ka use na kare. Jaise –
Unique Aur Long Article Likhe :
Jis kisi blog site par Unique, High Quality Aur Long Article hote hai. Unka adsense bahut jaldi approved hota hai. Kiyu ki in post ki wajah se traffice bahut aata hai. Koi bhi post likhne se pahle aapko Serach kar lena chahiye, Ki kis tarah ke post abhi tak net par nahi aaye hai. Kosish kare ke apka article minimum 1000 word ka Ho.
Dost abhi aapne jana ki 10 din me blog ke liye Google Adsense Account ko Approve karte hain. Mera name Sanjana Singh hai aur Digital New Hunt par yah meri pahli Gest Post hai.

10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye 10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye Reviewed by Unknown on 04:14 Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.