Blog Website Ki Loading Speed Check Kaise Kare ?

Agar aap ek blogger ya Website Owner hai. Toh aapko Blog ki Loading Speed Checkjarur karna chahiye. Blogging me sucsses hone ke liye bahut sari chizo ko maintenance karna hota hai. kai important settings karni hoti hai. Website degine, Contant aur SEO ke liye Speed test ka sahi se use karna hota hai. But aap Blog ki Performance aur Search Engine Optimization par khas dhyan dete ho. To Website loading speed ko ingnor nahi kar sakte. In this post post hum baat karne waale hai. Blog Website ki Loading Speed Slow ha ya Fast Kaise Pata kare ? .
blog website loading speed kaise check kare
Kisi bhi Newbi ke liye sabse aasan kaam Free Blog Banana hai. But sabse Hard work site ko rank karwana. First of all aapko Regular Blog Performance Check karte rahna Cahiye. Isse Blog Loading Speed aur Blog par kya kya Problem ho rahi hai pata chal jata hai. Isse thik karke Aap Apne Blog ki Speed ko aur jyada Better bana sakte ho. In any case me samye samye per bpni blog Performance test karta rahta hu. Because Google unhi website ko top pe rakhta hai jinki Website Speed Fast aur Good SEO ho. Mene adhiktar logo ko dekha hai. Wo apni site speed par dyan nahi dete. Ye nahi bhulna chahiye, ki Fast load Hone wale blog ko Google jyada Importance Deta hai.

Blog Website Ki Loading Speed Check Kaise Kare ? in Hindi

Actually Blog ki Fast Loading na hone ki wajha se na to visitors aa pate hai. Aur na hi aise Websites Blogs search engine me Best Performance de pate hai. In fact Loading Speed Slow hone ki wajha se Posts kisi bhi search engine me top page par show nahi hogi. For this reason blog or website par share posts reader tak nahi pahunch pati hai. Agar galti se koi visiter slow loading sites pe visit kar bhi le, toh dubara is aise sites par nahi ayega. Agar aap website blog manage karte hai. Toh Blog ki Loading Speed ko Fast Rakhna kitna jaruri hai pata hoga. Aaiye hum aapko batate hai, ki kisi Blog Website ki Loading Speedko kaise Check karte hai.

Website Blog ki Speed Check Kiyu Kare ?

Blog ki speed fast rakhna kitna jaruri hai almost sabhi sites owner ko pata hai. Google bhi is baat ko khahta hai, ki website blog ki loading speed more then 2s hai, Toh usko bahut kam mahtv diya jata hai. For the reason Site ki rank upar aane ke bajaye lagatar girti jayegi. 47% Readers ummid rakhte hai ki Website 2 seconds me hi open ho jaye. Agar Open hone me 3 seconds se jyada Time lagta to 50% readers site ko chor dete hai.
Blog ki Loading Speed Fast hona SEO ke liye Better hai. Finally Google ne bhi Ranking Algorithm me Site Speed ko Add kiya hai. Agar Blog ki Open Speed Slow hai. Toh wo kabhi bhi Google ki Search Ranking me achhi Position pe Nahi aa sakta. But iski wajah se Traffic bhi bahut kam aayega. Blog ki Loading Speed Slow hone se SEO pe effect padega. Aaiye jaane ki Blog speed Check karne ka Tarika or Iske online tools ke bare me.

Blog ki Loading Speed Slow Hai ya Fast Aise Pata Kare :

Kisi bhi sites or Blog ki speed Test karne ke liye Internet pe bahut sare online Tools maujud hai. Google ne bhi khud Page Speed Tools ( Page Speed Insights ) de rkha hai. Jiski help se  Website speed or performance Check kar sakte hai. Aapko kiya-kiya Optimization karna hai, Pata kar sakte ho. Yaha aapko kuchh Blog speed ko check karne ke online tools bata raha hu. Jisse aap esay tarike se Speed ke sath site me kiya implementation ki jarurat hai, dekh sakte ho.

Top 10 Free Website Speed Test Tools :

  1. Google PageSpeed Insights
  2. Pingdom
  3. GTmetrix
  4. WebPageTest
  5. Varvy Pagespeed Optimization
  6. UpTrends
  7. dotcom-monitor
  8. PageScoring
  9. Yellow Lab Tools
  10. Google Chrome DevTools

Blog Loading Speed Check karne Ka Tarika :

Upar di gayi Best website testing tools mana jata hai. Inki help se kisi bhi Website Load Test kar sakte hai. Agar aapko ye nhi pata ki aapki website blog open hone me kitna taime leti hai, toh aap in tools ki madad se check kar sakte ho.

#1. Google Page Speed Insights :-

Aapka Blog load hone me kitna time leta hai pata karne ke liye google Page Speed Teast Tool best hai. Isme bas aapko apne site ka URL submit karna hai. Uske baad yah Tool apke site ko analyze kar ke uska result bata dega. Yaha aapko Page Speed ke alawa blog ko Fast Load karne ke liye Optimization Suggestions milega.
Ye Tool aapko site ke Sabi data ke bare me batyega , ki aapko blog ki loding fast karne ke liye kis kis ko Optimize karne ki jarurat hai.

 #2. Pingdom Website Speed Test :-

Aapki website ke reliable uptime and performance monitoring ke liye Pingdom best site hai. Iski help se aap apne blog ki speed check karke usse improve easily kar sakte hai. 70% blog websites owner iska use karte hai. Pingdom apke Webpage ke All Parts ko Examine karta hai. Isme sabse achhi yah baat hai ki multiple locations jaise Europe, the United States, etc country par site speed check karta hai. Agar aap apne blog Uptie or Performance ko 100% Optimize karna chahte hai to yah Best online Website Speed Checker tool sahi rahega.

#3. GTmetrix

Gtmetrix ko Site Speed aur Performs Test karne ki Most popullar Tool mana jata hai. Aap is pe apna account create kar ke site submit karte hai, toh yah mail dwara blog performance report or optimization suggestions per week deta rahega. Aap agar is tool pe apni site ko submit karke loading speed test karte hai. Toh sath me yah aapko batayega ki kiya-kiya implement ki jarurat hai.

#4. WebPageTest

WebPageTest upar bataye gaye tools ki tarah hi kaam karta hai. Lekin isme 25 se adhik web browsers, All device or sabhi country me aapke blog ki loading speed test kar sakte hai. Ye aapko site ki report 6 part me analyze karke batayega. Jisme summary, details, performance review, content breakdown, aur screen shots ki alag alag repot dekh sakte hai. WebPageTest speed Test Tool apne vanced features ki wajah se Bloggers ka pasinda tools banta ja raha hai.

#5. Varvy Pagespeed Optimization

Varvy Pagespeed Optimization ko developed aur maintained karne waale Patrick Sexton hai. GetListed.org dwara ise created kara gya hai. Varvy Pagespeed Optimization page speed checker tool ko Moz Local Name se bhi jana jata hai. Is tool se 5 different reports apko milti hai. Like resource diagram, css delivery, javascript usage, page speed issues found, aur services used.

#6. Uptrends

Uptrends apki site ko 35 locations pe Speed Test karta hai. Website ki runnig speed kis desh ke server pe kitni hai ye uski complate report apko dega. Iske alawa apki site ki loading speed slow hone ka sahi karn analyze kar ke aapko batayega.

#7. Dotcom Tools

dotcom-monitor aapke  blog ki loading speed ko 23 different locations aur 7 different browsers me test karta hai. Isme sabse unique feature yah hai ki ek sath sabhi loctaion pe speed tests kar sakte hai. Other tool me apko bari bari se alag alag server par test karna hota hai. Yaha apko ek sath speed check karne ka option milega jo ki apka kafi samye bacha sakta hai.

#8. PageScoring

Page Scoring kisi bhi website performance ko bahut easy tarike se dikhata hai. YAh page speed se judi problems like Domain Lookups, Connection Time, Redirection Time, Page Size aur Download Time ko alag-2 part me analyze kar result deta hai.

#9. Yellow Lab Tools

Yellow Lab Tools ko Gaël Métais dwara developed kiya gaya hai. Yah tool aapko web page related baht sari jankari deta hai. Isme jo feature hai, ye aapko kisi other page speed testing tools me nahi milegi. like Page weight, Requests, DOM, Bad Javascript, Bad CSS aur Server Config.

#10. Google Chrome DevTools

Google Chrome DevTools sabse achcha tool mana jata hai. Ise use karna bahut easy hai. Yah aapko sabse advanced features ke sath milega. Aap apne Chrom Browser me Shortcut key istemall karke kisi bhi samaye ise launch kar sakte hai. Aur apne website speed ko check kar sakte hai.
  • Windows ke liye Short Cut Key : F12 or also Ctrl + Shift + I
  • Mac ke liye Shortcut key : Cmd + Opt + I
Dosto mujhe ummid hai ki Blog Website Ki Loading Speed Check karne ka tarikaaapko pasand aaya hoga. Is article se related apka sawal aap comment me de sakte hai. Is blog par audate hone wali latest update ko paane ke liye aap hamara facebook page like kare ya subscribe box me apma email address dalkar email pe update paaye.
Blog Website Ki Loading Speed Check Kaise Kare ? Blog Website Ki Loading Speed Check Kaise Kare ? Reviewed by Unknown on 04:00 Rating: 5

1 comment:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.